jeene ke liye bhi waqt nahi.......
Har khushi hai logo ke Daaman me,
Par ek HASI ke liye waqt nahi.
Din raat daudti duniya me,
Jindagi ke liye he waqt nahi.
Maa ki lori ka ehesaas to hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare rishton ko to hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.
Sare naam mobile me hain,
par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat kahen,
jab apano ke liye hee waqt nahi.
Ankhon me hai neend badee,
par sone ko waqt nahi.
Dil hai gamo se bharaa hua,
par rone ko bhi waqt nahee.
Paison ki daud me aise daude,
ki thakane ko bhi waqt nahi.
Paraye ehesaso ki kya kadar karen,
jab apane sapano ke liye hi waqt nahi.
Tu hi bata E Zindagi,
is Zindagi ka kya hoga.
Ki har pal mar ne walon ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi.......
Ki har pal mar ne walon ko,
Jeene ke liye bhi waqt nahi
Popular Posts
-
When you are in light, Everything will follow you......But when you enter dark, Even your shadow will not follow you...This is LIFE!!! 31 da...
-
SMS Collection Posted: 30 Aug 2008 10:59 AM CDT Oye Tussi So Gaye? Inni Jaldi? Ik Mint Ruko, Menu Good Night Te Wish Kar...
-
ABHISAK BACHAAN BILL CLINTON GOVIDA HRITIK AJAY JADEJA SACHIN KING KHAN SHOHIB AND LAST BUT NOT LEAST SONIA GANDHI
-
नोकरी करने के कुछ नुस्खे : १) बने रहो पगले , काम करेंगे अगले !!!! २)काम से रहो गुल , तनख्वाह पाओ फुल !!!! ३)मत लो टेंशन वरना परिवार पाये...
-
SMS Collection Posted: 27 Mar 2009 09:18 AM PDT What did baby corn ask mom corn? Where is PopCorn? LOVL...
Tuesday, 12 February 2008
Jeene ke liye bhi waqt nahi.......
Labels: All, DAILY SMS DOSE, KAVITA, कवीता
Monday, 11 February 2008
Rona Bhi jo chahein.............
Rona Bhi jo chahein to woh Rone Nahi Deta...
Wo shakhs to palkein Bhi Bhigone Nahi Deta...
Woh Roz Rulaata hai hamein khwaab Mein Aakar....
Sona Bhi jo chahein to woh sone Nahi Deta.....
Yeh kis ke ishaare pe Umadh Aaye hain Baadal...
Hai kaon jo Barish kabhi hone Nahi deta...
Aata hai khayalon Mein Mere kaon yeh Aksar...
Jo mujh ko kisi Or ka hone Nahi Deta....
Is Darr se ki kahin todh kar Aansoo Na Bahayein...
Bachchon ko Main Mitti ke khilone Nahin Deta...
Ik Shakhs hai Aesa Meri Hasti Mein Abhi Tak....
Jo Bojh Akele Mujhe Dhone Nahi Deta...
Main hu ki Bahata hU teri yaad Mein Aansoo....
Aur tu hai ki Ashkon ko pirone Nahi Deta....
Woh chehra Ajab hai jise paakar Main Abhi Tak....
Khona bhi jo chahoon to woh khone Nahi Deta...
Labels: All, DAILY SMS DOSE, KAVITA, कवीता
Wednesday, 30 January 2008
POEMS
Kaho na ..
![]()
Kuchh pal saath chale to jaanaa,
Rastaa hai jaanaa pehchanaa .Saanso ko sur de jaataa hai,
Tera yo.n sapano mai.n aanaa.Maine jatan kiye to lakho.n
Mann ne meet tumhi ko maanaaAb to haath thhaam lene do
Aur kaho na , na na , na na !.... Raj 17.7.99
Kuchh kaho na !
| Sau janam ka saath apna, Sans ka dhadkan se jaise, Aas ka jeevan se jaise, Kaise kate saal solah, Shyam ki jogan ke jaise. Jhoot ke parde na dhoondo, Sach kaho na . Kuchh kaho na .. | |
| Ek dooje ke liye ham, Haath main kangan ke jaise, Pyaas main sawan ke jaise, Roop ko darpan ke jaise, Bhakt ko bhag_van ke jaise. Jheel si simtee na baitho, Kuchh baho na . Kuchh kaho na .. | |
| Jaanata hoon thak gayee ho, Umr ke lambe safar se, Saanp se dasate shahar se, Aas se aur aansuon se, Bheed ke gahare bhawanar se. Waqt firata hai suno, Itna daro na . Kuchh kaho na .. | |
| Kis tarah ladatee rahi ho, Pyaas se parchhaiyon se, Neend se , angadaiyon se, Maut se aur zindagi se, Teej se ,tanahaiyon se. Sab tapasya tod dalo, Ab saho na Kuchh kaho na !! | |
Kuchh kaho na ! | |
Syaah sannaton main hamane, Umr katee hai tanhaa, Tang aur andhi surangen, Is gufaa se us gufaa. Saans thi sahami hui si, Dhadakanon ko ek darr, Itnaa tanhaa aur lambaa, Zindgi ka uff safar. Door meelon door jalati , |
Labels: All, DAILY SMS DOSE, KAVITA, Valentines Special
Tuesday, 29 January 2008
Poems
( AAP SE MIL KAR )
1.aap se mil kar hamain yeh zindagi achi lagi,
chand se chehre par yeh sadgi achi lagi.
2.aagaye khuwaboon main milne is karam ka shukriya,
mil gaya dil ko sukoon aur neend bhi achi lagi.
3.aankh thi da pe lagi aur hum the muntazir,
aap jab mehfil main aaye woh ghari achi lagi.
4.aap ki chahat hai dil main aur hum hain muztarib,
hosh apne khodiye aur bekhoodi achi lagi.
5.yeh wohi gulshan hai jis main phool bhi murjhai thay,
aap ke aane se ab to har kali khilne lagi.
Labels: All, DAILY SMS DOSE, KAVITA
Friday, 18 January 2008
Sms karnge hum 1 duje ko bari bari, Hame lagti hai ye rasam badi pyari. SmS milte he 1 sms bhej dena, kyonki hume bilkul pasand nahi udhari.
The worst thing in life is ATTACHMENT ,
it hurts when you lose it.
The best thing in life is LONELINESS
as it teaches you everything and when you lose it,
you get Everything.
Yu pani me patthar na maro
Koi aur ise pita hoga.
Zindagi jina to haas ke jiyo
Kyu ki tumhe dekh kar koi aur jita hoga.
The breeze has awakened the earth,and sun has Colored our world.
The birds have added melody to the morning &
I hope I am not late to wish you Gud Morning.
Thursday, 17 January 2008
ek chota sa sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sakoon tha
jo zindagi ka junun tha
us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha
us raaz mein ek khushbo thi
jo meri sooch ki justuju thi
us justuju mein ek hararat thi
jo meri khushiyoun ki sharat thi
us shahrat mein mein ek ehsaas tha
k tou jo mere pass tha
us pass mein jo ek araam tha
woh bus sirf ek tera naam tha
Labels: All, DAILY SMS DOSE, KAVITA
Categories
Subscribe To Our Posts by E-mail
© 2013 Lovly-sms.blogspot.com
All the articles, posts and other materials on this website/blog are copyrighted to the author of this site. The content should NOT to be reproduced on any other website or through other medium, without the author's permission. Contact: lovlysms@gmail.com



